लेखनी प्रतियोगिता -26-Mar-2022
(Kasbai ishq)
Ek jamana tha jab pyar me mar mitate the log,
Aajkal ke pyaar me ,
Pehle si sachhai kahan hai,
Na wo hi sache premi hain,
Na hum hi,
Ye aajkal ke ishq ki kadvi sacchai hai,
Wo daur tha kasbo me
Chutpan ki umar usme bhi pyaar,
Lekin wo bhi beshumaar,
Yakeen na ho to heer ranjha, ka ishq dekhlo,
Log paise se nhi dil se pyar kiya karte hai,
Yakeen na ho to purani history utha ke dekhlo,
Ab jara si takleef dekhe dekho ginti karte reh jaoge,ke dil kitni jagah ser karke aaya hai,
Yakeen na ho to khud ki history soch ke dekhlo,
Pyaar me schai kasbo si aaj nhi hogi,
Premi jode khub milege ,
Pr pehle si imandaari nhi milegi,
Mein kisi ek ki nhi har shash ki baat karti hoon,
Pyaar bhi sharto pr hota hai aajkal ,yakeen na ho to khud se punch ka dekhlo,
Jamana badal gaya hai janaab,
Ab to kasbo ka pyar bhi
Seharo ka rukh le raha hai,
To harz kya hai ke agr insaan matlabi ho raha hai.
Or ye daur har ek ki zindagi me aayega,
Hoga ishq kisi or se,
Or nibhaya kisi or ke sath jayega.......
Shrishti pandey
28-Mar-2022 07:40 AM
Very nice
Reply
Abhinav ji
28-Mar-2022 07:11 AM
Very nice
Reply
Haaya meer
27-Mar-2022 02:25 PM
बहुत खूब
Reply